Home INDIA दल बदलू नेता, कमाल के अभिनेता

दल बदलू नेता, कमाल के अभिनेता

0

Aapki kaam karne waali bai yan driver mehez thode se rupyon ke liye aapka ghar kisi time bhi chod sakte hai. Gaye woh zamane jab aap filmon main dekhte they ki hero ya heroine unke naam le kar kehte they, “yeh Raamu kaka hai….inhone mujhe sagey pita se bhi zyaada pyaar kiya hai”.

Politics main bhi kuch aisa hi haal hai. Humare inn dal badlu netaon karke kai nayi partiyon ka janam hua. Par inke pairon main aise chakkar hote hai ki zyaade deir kisi ek party main tikke hi nahi rehte. Shayad subah pooja karte sabhi partiyon ke manifesto ko maatha tekte honge ki pata nahi kis pal kis party main jaana padh jaye.

Punjab, Haryana main kayi aise digajj neta hai jinhone har rajnetik party ke daftar ke chakkar lagaye. Jahan sauda theek hua wahan rukk gaye aur wohi ghisi pithi daleel de di- ki aaj tak jo vikas nahi hua, woh hum karenge.

Haryana main JJP ke bannne se kayi aise nautanki netaon ko ek nayi aas mili hai. Jo ticket na milne pai nirash, jo na koi ohda milne pai nirash, jo koi kaam na hone par berozgaar- woh sab neta ab ek naya rozgaar milne par bateesi dikha rahe hai.

Zaahir hai ki apne personal agenda ke illawa aise logon ka rajya ya desh ke vikas ka kya sochenge?Waise aise netaon se humaare filmon ke superstars bhi sikhsha le sakte hai ki sahi jagah par sahi bol aur sahi emotion kaise prakat ki jaaani chahiye. Pehle INLD, BJP yan Congress ke saath, aaj JJP ke saath. Humare neta, kamala ke abhineta.
Aise hi ek classromm ke bahar teacher ne ek neta se poocha, “ Neta ji, aapka beta fail ho gaya hai aur aap laddoo khila rahe ho?” Neta ji bole, “ 80 ladkon ke class main 60 fail hai. Bahumaat to mere bête ke saath hai”.

Discussions

Discussions

Exit mobile version